Hindi Song Title: Tujhko parda rukh-e-roshan
Hindi Movie/Album Name: LALARUKH
Singer(s): TALAT MEHMOOD, ASHA BHOSLE
Hindi Lyrics:
Pyaas kuchh aur bhi bhadhka di jhalak dikhlaake
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga
Itni gustaakh na ho ishq ka awaara nazar
Husn ka paatth nigaaho ko sikhaana hoga
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga
Husn ka paatth nigaaho ko sikhaana hoga
Chaand taaro ko mayssar hai nazaara tera
Meri betaab nigaaho se ye parda kyu hai
Chaand aaina mera, taare mere lufz-e-qadam
Gair ko aankh milaane ki tamanna kyu hai
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga
Husn ka paathh nigaaho ko sikhaana hoga
Tujhko dekha tujhe chaaha tujhe pooja hamne
Bas yahi iske siwa meri khata kya hogi
Hamne achchha kiya ghabhraake jo munh pher liya
Isse kam dil ki tadapne ki saza kya hogi
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga
Husn ka paathh nigaaho ko sikhaana hoga
Pyaas kuchh aur bhi bhadhka di jhalak dikhlaake
Tujhko parda rukh-e-roshan se hataana hoga
Itni gustaakh na ho ishq ka awaara nazar
Husn ka paatth nigaaho ko sikhaana hoga
Related posts:
- Parda Hai Parda Lyrics
- Apne rukh par nigaah Lyrics
- Aaj Hum Roshan Karenge Lyrics
- Roshan Hui Raat Lyrics
- Yeh Parda Hata Do Lyrics
- Aap Ke Hasin Rukh Pe Lyrics
- Yeh chand sa roshan chehra Lyrics
- Chaaha Hai Tujhko Lyrics
- Tujhko Hi Dulhan Lyrics
- Main Tujhko Yaad Aaoonga Lyrics
- Jaa Sajna Tujhko Lyrics
- Maine Dil Tujhko Diya Lyrics
- Saaton janam tujhko paate Lyrics
- Dekhne Ko Tujhko Lyrics
- Agar Bewafa Tujhko Pehchan Lyrics