O Haseena Zulfonwali Lyrics


Hindi Song Title: O Haseena Zulfonwali
Hindi Movie/Album Name: DIL VIL PYAR VYAR
Singer(s): ABHIJEET AND SUNIDHI CHAUHAN

Hindi Lyrics:
–MALE–
(O haseena zulfonwaali jaane jahan
Dhoondti hai kaafir aankhen kiska nishaan) – 2
Mehfil mehfil ae shama, phirti ho kahan – 2

–FEMALE–
Voh anjaana dhoondti hoon, voh deewana dhoondti hoon
Jalaakar jo chhip gaya hai, voh parwaana dhoondti hoon
Garm hai, tez hai yeh nigaahein meri

–MALE–
Kaam aa jaayegi sard aahein meri

–FEMALE–
Arre tum kisi raah mein to miloge kahin

–MALE–
Arre ishq hoon, main kahin theherta hi nahin

–FEMALE–
Main bhi hoon galiyon ki parchhaai, kabhi yahan kabhi vahan
Shaam hi se kuch ho jaata hai mera bhi jaadu jawaan

–MALE–
Ae, o haseena zulfonwaali jaane jahan
Dhoondti hai kaafir aankhen kiska nishaan
Mehfil mehfil ae shama, phirti ho kahan – 2

–FEMALE–
Voh anjaana dhoondti hoon, voh deewana dhoondti hoon
Jalaakar jo chhip gaya hai, voh parwaana dhoondti hoon
Haan dil vil pyaar vyaar yunhi badnaam hai

–MALE–
Aisi badnaamiyon ka vafa naam hai

–FEMALE–
Oh oh oh, qatl kar ke chale, yeh vafa khoob hai

–MALE–
Haai naadaan teri yeh ada khoob hai

–FEMALE–
Main bhi hoon galiyon ki parchhaai, kabhi yahan kabhi vahan
Shaam hi se kuch ho jaata hai mera bhi jaadu jawaan

–MALE–
Hey, o haseena zulfonwaali jaane jahan
Dhoondti hai kaafir aankhen kiska nishaan
O haseena zulfonwaali jaane jahan
Dhoondti hai kaafir aankhen kiska nishaan
Mehfil mehfil ae shama, phirti ho kahan – 2

–FEMALE–
Voh anjaana dhoondti hoon, voh deewana dhoondti hoon
Jalaakar jo chhip gaya hai, voh parwaana dhoondti hoon

Related posts:

  1. Jab Bhi Koi Haseena Lyrics
  2. Koi haseena jab rooth Lyrics
  3. Mujhpe Har Haseena Lyrics
  4. O Hasina Zulfon Vaali Lyrics
  5. Qayamat, qayamat Lyrics
  6. Chhed Na Mujhko Lyrics
  7. Sanam Tum Hum Pe Lyrics
  8. Main Hoon Na Lyrics
  9. Main Hoon Na Lyrics
  10. Nahin Nahin Abhi Nahin Lyrics
  11. Jao Tum Chahe Jahan Lyrics
  12. Tu Achha Lagta Hai Lyrics
  13. Kuch Aisa Jahan Lyrics
  14. Mohabbat Naam Hai Kiska Lyrics
  15. Wada karo Lyrics