Hindi Song Title: Nirbal se ladaai balwaan ki
Hindi Movie/Album Name: TOOFAN AUR DIYA
Singer(s): MANNA DEY

Hindi Lyrics:
Nirbal se ladaai balwaan ki -2
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki -2

Ik raat andhiyaari, thi dishaaye kaari-kaari
Mand-mand pawan tha chal raha
Andhiyaare ko mitaane, jag mein jyot jagaane
Ek chhota sa diya tha kahi jal raha
Apni dhun mein magan, uske tan mein agan
Uski lau mein lagan bhagwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Kahi door tha toofaan…
Kahi door tha toofaan, diye se tha balwaan
Saare jag ko masalne machal raha
Jhaad ho ya pahaad, de woh pal mein ukhaad
Soch-soch ke zameen pe tha uchhal raha
Ek nanha sa diya, usne hamla kiya -2
Ab dekho lila vidhi ke vidhaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Duniya ne saath chhoda, mamta ne mukh moda
Ab diye pe ye dukh padne laga -2
Par himmat na haar, man mein marna vichaar
Atyaachaar ki hawa se ladne laga
Sar uthhaana ya jhukaana,
ya bhalaai mein mar jaana
Ghadi aayi uske bhi imtehaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Phir aisi ghadi aayi – 2, ghanghor ghata chhaayi
Ab diye ka bhi dil laga kaanpne
Bade zor se toofaan, aaya bharata udaan
Us chhote se diye ka bal maapne
Tab diya dukhiyaara, wah bichaara besahaara
Chala daau pe lagaane, (baazi praan ki) – 4
Chala daau pe lagaane, baazi praan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Ladte-ladte woh thaka, phir bhi bujh na saka -2
Uski jyot mein tha bal re sachchaai ka
Chaahe tha woh kamzor, par tooti nahi dor
Usne bida tha uthhaaya re bhalaai ka
Huwa nahi woh niraash, chali jab tak saans
Usse aas thi prabhu ke wardaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Sar patak-patak, pag jhatak-jhatak
Na hata paaya diye ko apni aan se
Baar-baar waar kar, ant mein haar kar
Toofaan bhaaga re maidaan se
Atyaachaar se ubhar, jali jyot amar
Rahi amar nishaani balidaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Nirbal se ladaai balwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Related posts:

  1. Mujhpe toofaan uthaaye logon ne Lyrics
  2. Silsila Yeh Chaahat Ka Lyrics
  3. Jyot Se Jyot Jalate Chalo Lyrics
  4. Dikhayi Diye Yun Lyrics
  5. Dhuan Banake Fiza Mein Lyrics
  6. Jaa Sajna Tujhko Lyrics
  7. Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics
  8. Aap ke pahaloo mein aa kar ro diye Lyrics
  9. Do Pal ka Lyrics
  10. Mana Janab Ne Pukara Nahin Kya Lyrics
  11. Woh Ho Tum Lyrics
  12. Kahan Jaa Raha Hai Tu Lyrics
  13. Rafique Ghaznavi Mp3 Songs Download Lyrics, Biography of Rafique Ghaznavi Live Concerts
  14. Maine paidal se ja raha tha Lyrics
  15. Kahan Chal Diye Lyrics