Hindi Song Title: Mere Bachpan Ke Saathi
Hindi Movie/Album Name: ANMOL GHADI
Singer(s): NOOR JEHAN
Hindi Lyrics:
(Mere bachpan ke saathi mujhe bhool na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana) -2
Gham furqat ke sahna sakoongi, sahna sakoongi
Roungi kuchh kahna sakoongi
Dushman hai saara jahaan, dushman hai saara jahaan jaaoon kahaan
Aah, teri ulfat hai jeene ka bas ik bahaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Raat guzaaroon gin gin taare, gin gin taare
Kaise aaoon paas tumhaare
Tum ho kahin main kahin, tum ho kahin main kahin chain nahin
Haa, haaye duniya ne dil ka mere gham na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Koi dil ka dard na jaane, dard na jaane
Apne bhi ab hai beghaane
Ro ro ke kehta hai dil, ro ro ke kehta hai dil aa saajan mil
Aah, bas itna hi sun le mera hai fasaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Mere bachpan ke saathi mujhe bhool na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Related posts:
- Mere Jeevan Saathi Lyrics
- Mere Jeewan Saathi Lyrics
- Yeh Din Bachpan Ke Lyrics
- Saathi Na Koi Manzil Lyrics
- Koi To Saathi Chaahiye Lyrics
- Ek Saathi Aur Bhi Thaa Lyrics
- Sukh Ke Sab Saathi Dukh Mein Na Koi Lyrics
- College Ke Saathi Lyrics
- Lagi Tumse Lagan Saathi Lyrics
- Mere Mehboob Mere Sanam Lyrics
- Mere Dushman Mere Bhai Lyrics
- Arre Yaaron Mere Pyaaron Lyrics
- Mere Yaar Ki Shaadi Hai Lyrics
- Mere Mituwa Mere Geet Re Lyrics
- Yaar Mere Yaara Mere Lyrics