Hindi Song Title: hai dil mein lagan
Hindi Movie/Album Name: YALGAAR
Singer(s): MOHD. AZIZ, NITIN MUKESH, SURESH WADKAR
Hindi Lyrics:
su: baar-e-duniyaa mein.. raho shaad ke, naashaad raho
aise kuchh karke chalo, karke chalo yaa ke
bahut yaa..d raho, yaad raho, yaad raho
ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan -2
ye jaan nichhaavar karne ki
a: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
ni: hai maut se rishtaa jeevan kaa
paidaa jo huaa vo martaa hai
a: is janam-janam ke saathi se
naadaan hai vo jo Dartaa hai
ni: veeroN ne reet nibhaai hai -2
marne se mohabbat karne ki
a: kyaa baat hai aise jeene ki -2
ni: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
a: ye zaalim Daakoo hatyaare
desh aur insaan ke dushman hai
ni: vah vaar karenge ham inpar
ye dharm-imaan ke dushman hai
a: khaate hain qasam, is desh mein ham -2
ik jashn-e-bahaaraaN karne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
a: ye rut hai pyaar mohabbat ki
har moD pe husn ke jalve hain
ni: miTTi mein mahak hai phooloN ki
zarroN mein chaaNd sitaare hain
a: armaan hai pyaar mein jeene kaa -2
hasrat hai husn pe marne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
Related posts:
- Mann Ki Lagan Lyrics
- Mainu Lagan Lagi Lyrics
- Lagan Lagi Lyrics
- Lagi Tumse Lagan Saathi Lyrics
- Sapnon Mein Aana Dil Mein Samana Lyrics
- Aankhon mein raho Lyrics
- Pyaar Mein Sau Uljhanein Lyrics
- Shehar Mein Gaav Mein Lyrics
- Akela Hun Mein Is Duniya Mein Lyrics
- Mere khwaabon mein tu meri saanson mein tu Lyrics
- Koi Na Koi Chaahiye Lyrics
- Dil Mein Jo Mere Sama Gayi Lyrics
- Ek Akela Is Shahar Mein Lyrics
- Kaunsi Baat Hai Duniya Mein LYrics
- Teri Duniya Mein Jeene Se Lyrics