Hindi Song Title: Duniya O Duniya
Hindi Movie/Album Name: NAYA ZAMANA
Singer(s): KSIHORE KUMAR
Hindi Lyrics:
duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahin
duniyaa o duniyaa
teri jafaaon kaa, bas, koi hisaab nahin
duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahin
duniyaa o duniyaa
(tu chhaaNv hai yaa hai dhoop Khabar kisko
kyaa hai teraa asli roop Khabar kisko) -2
aaye nazar kaise tu aaNsoo hai, Khvaab nahin
duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahin
duniyaa o duniyaa
(teri zubaaN pe hai, zikr sitaaron kaa,
tere labon pe hai, naam bahaaron kaa) -2
par tere daaman mein, kaaNTe hain, gulaab nahin
duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahin
duniyaa o duniyaa
*speaks*
ye kin Khayaalon mein, kho gaye hain aap, huh!
(ye kin Khayaalon mein, kho gaye hain aap,
kyon kuchh pareshaaN se, ho gaye hain aap) -2
aapse to mujhko, kuchh shiqvaa janaab nahin
duniyaa o duniyaa, teraa javaab nahin
teri jafaaon kaa, bas, koi hisaab nahin
duniyaa o duniyaa
Related posts:
- Kaunsi Baat Hai Duniya Mein LYrics
- Rang ye Duniya Badalti Lyrics
- Duniya Na Bhaye Lyrics
- Ye duniya ye mehfil Lyrics
- Rookun Main To Ruk Jaaye Duniya (Stop) Lyrics
- Yeh Saaye Hain Yeh Duniya Hai Lyrics
- Duniya haseenon ka mela Lyrics
- Teri Duniya Mein Dil Lyrics
- Chhoti Si Ye Duniya Lyrics
- Aye Dil Dil Ki Duniya Mein Lyrics
- Duniya Bananewale Kya Tere Man Lyrics
- Teri Duniya Mein Jeene Se Lyrics
- Tere Duniya Se Door Lyrics
- Tumse Badhkar Duniya Mein Lyrics
- Aksar Is Duniya Mein Lyrics