Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladki Lyrics


Hindi Song Title: Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladki
Hindi Movie/Album Name: EK RISHTA
Singer(s): KUMAR SANU, ALKA YAGNIK

Hindi Lyrics:
–MALE–
Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladki – 2
Kaun hai, woh kaun hai main jaanta nahin, oh
Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladki – 2

Paas aayegi ek din woh
Pyaar laayegi ek din woh
Uske maathe ko choom loonga
Uski baahon mein jhoom loonga
Uski aankhon ka main
Ek haseen khwaab hoon
Usse milne ko main kitna betaab hoon
Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladki
Kaun hai woh kaun hai, main jaanta nahin, oh
Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladki, ha ha

–FEMALE–
Aah ha ha ha ha, ha ha ha ha, ha ha ha ha – 2
Kya bataaoon woh hai kaisa
Woh deewaana khoob hai
Saari duniya se judaa
Woh mera mehboob hai
Chhedta khwaabon mein aake
Woh bada hai manchala
Main usse haasil karoongi, yeh hai mera faisla
Kaun hai woh kaun hai, main jaanti nahin, oh
Dil deewana dhoondhta hai ek haseen ladka – 2

–MALE–
Haseena bata tera kya naam hai

–FEMALE–
Mere naam se tujhko kya kaam hai

–MALE–
Oh magroor ladki zara dheere chal

–FEMALE–
Ae gustaakh tu apna rasta badal

–MALE–
Yun aankhen na dikha tu

–FEMALE–
Yun baatein na bana tu

–MALE–
Maanegi tu na aise

–FEMALE–
Dekhe hai tere jaise
Tu nashe mein choor hai

–MALE–
Mujhko aisa lag raha hai tu badi majboor hai
Kaun hai tu kaun hai tu main jaanta nahin, oh
Eh hey hey hey, la la la la, ek haseen ladki

–FEMALE–
La la la la, la la la la la la, ek haseen ladka

Related posts:

  1. Jaane Jaan Dhoondhta Phir Raha Lyrics
  2. Laakhon Haseen Lyrics
  3. Woh Ladki Hai Kahan Lyrics
  4. Yeh Ladki Nahin Banaras Ka Paan Lyrics
  5. Dil dhoondhta hai fir wahi Lyrics
  6. Ek Ladki Mujhe Lyrics
  7. Deewana dil Deewana Lyrics
  8. Ek To Aisi Ladki Lyrics
  9. Saanwali Si Ek Ladki Lyrics
  10. Deewana Dil Hai Mera Lyrics
  11. yaaila re ladki mast mast Lyrics
  12. Deewana Hai Yeh Mann Lyrics
  13. Deewana Hai Yeh Mann Lyrics
  14. Dil Hai Deewana Lyrics
  15. Yeh Dil Deewana Hai Lyrics