Hindi Music Downloads

Free Download Music, Songs, Mp3, Lyrics

Hindi Song Title: Azaadi Hai Pyari
Hindi Movie/Album Name: TUJHE MERI KASAM
Singer(s): SHAAN, SHIRYA GHOSAL

Hindi Lyrics:
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do
Yeh To Karo Lekin Woh Na Karo Aisa
Kuch Mat Kaho Jeene Do
To Jaldi Kyon Uthe Subah Ko Hum
Aur Kyon Na Jaage Saari Raat Hum
Khaate Peete Kyon Na Aish Kare
Yeh Khaana Kyon Pakana Sikhe Hum
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do
Yeh To Karo Lekin Woh Na Karo Aisa
Kuch Mat Kaho Jeene Do
To Jaldi Kyon Uthe Subah Ko Hum
Aur Kyon Na Jaage Saari Raat Hum
Khaate Peete Kyon Na Aish Kare
Yeh Khaana Kyon Pakana Sikhe Hum
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do
Yeh To Karo Lekin Woh Na Karo Aisa
Kuch Mat Kaho Jeene Do

Saara Din Saari Raat Padte Likhte Kyon Rahen
Aksharon Mein Numberon Mein Ghumte Phirte Kyon Rahe
Kuch To Kitabon Se Azaadi Do Hume
Kuch To Kitabon Se Azaadi Do Hume
College Mein Hum Ko Woh Sab Kuch To Sikhate Hai
Sub Kuch To Batate Hai Hum Se Hi Phir Puchte Hai
In Imtehaanon Se Azaadi Do Hume
Hai Sahi Pidiya Kyon Nahi Ek Hi
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do
Yeh To Karo Lekin Woh Na Karo Aisa
Kuch Mat Kaho Jeene Do

Ek Se Do Do Se Char Sach Kehti Hoon Doston Yaar
Hum Ko Kyon Roke Ho Hum Se Milene Walekar
Aisi Rukawat Se Azaadi Do Hume
Aisi Rukawat Se Azaadi Do Hume
Yeh Waqt Bhi Hat Jaaye To Aayega Phir Woh Maza
Gharwale Dilwale Hat Jaaye To Kya Bura
Kuch To Us Kadki Se Azaadi Do Hume
Haan Magar Pooch Na Sach Kahan Karte Hai
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do
Yeh To Karo Lekin Woh Na Karo Aisa
Kuch Mat Kaho Jeene Do
To Jaldi Kyon Uthe Subah Ko Hum
Aur Kyon Na Jaage Saari Raat Hum
Khaate Peete Kyon Na Aish Kare
Yeh Khaana Kyon Pakana Sikhe Hum
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do
Yeh To Karo Lekin Woh Na Karo Aisa
Kuch Mat Kaho Jeene Do
Azaadi Hai Pyari Hum Ko Hamari
Khushi Se Bhi To Jeene Do


Hindi Song Title: Maayus Na Ho Ai Mere Vatan
Hindi Movie/Album Name: TU HAI MERI ZINDAGI
Singer(s): MOHAMMAD RAFI

Hindi Lyrics:
Maayus Na Ho Ai Mere Vatan,
Aansu Se Na Dho Yeh Laal Kafan,

Mitakar Bhi Nahin Mit Paata Hai,
Aadam Ka Lahu, Aadam Ka Lahu
Aaya Hai Bankar Gandhi,
Voh Kabhi Aaya Bankar Gandhi,
Voh Kabhi Jagaa Bankar Sukraat,
Kabhi Bola Bankar Manasur,
Kabhi Chikha Bankar Farhaad,
Kabhi Sau Bhes Badalkar Aata Hai,
Aadam Ka Lahi, Aadam Ka Lahu

Hindu Voh Nahin, Muslim Voh Nahin,
Insaan Re Bas Insaan Hai Voh,
Nafrat Jo Kare, Shaitaan Hai Voh,
Gar Pyaar Kare Bhagwaan Hai Voh,
Tare Mein Samandar Laata Hai,
Aadam Ka Lahu Aadam Ka Lahu..


Hindi Song Title: Aye Mere Dil-E-Nadaan
Hindi Movie/Album Name: TOWER HOUSE
Singer(s): LATA MANGESHKAR

Hindi Lyrics:
aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana (2)
ik din to samajh legi duniya tera afsaana
aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana (2)

armaan bhare dil mein zakhmon ko jagah de de (2)
bhadke hue sholon ko kuch aur hawa dede
banti hai to ban jaaye yeh zindagi afsaana
aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana

aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana
ik din to samajh legi duniya tera afsaana
aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana

fariyad se kya haasil rone se natija kya (2)
bekaar hai yeh baatein in baaton se hoga kya
apna bhi ghadi bhar mein ban jaata hai begaana
aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana

aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana
ik din to samajh legi duniya tera afsaana
aye mere dil-e-nadan tu gham se na ghabarana


Hindi Song Title: Nirbal se ladaai balwaan ki
Hindi Movie/Album Name: TOOFAN AUR DIYA
Singer(s): MANNA DEY

Hindi Lyrics:
Nirbal se ladaai balwaan ki -2
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki -2

Ik raat andhiyaari, thi dishaaye kaari-kaari
Mand-mand pawan tha chal raha
Andhiyaare ko mitaane, jag mein jyot jagaane
Ek chhota sa diya tha kahi jal raha
Apni dhun mein magan, uske tan mein agan
Uski lau mein lagan bhagwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Kahi door tha toofaan…
Kahi door tha toofaan, diye se tha balwaan
Saare jag ko masalne machal raha
Jhaad ho ya pahaad, de woh pal mein ukhaad
Soch-soch ke zameen pe tha uchhal raha
Ek nanha sa diya, usne hamla kiya -2
Ab dekho lila vidhi ke vidhaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Duniya ne saath chhoda, mamta ne mukh moda
Ab diye pe ye dukh padne laga -2
Par himmat na haar, man mein marna vichaar
Atyaachaar ki hawa se ladne laga
Sar uthhaana ya jhukaana,
ya bhalaai mein mar jaana
Ghadi aayi uske bhi imtehaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Phir aisi ghadi aayi – 2, ghanghor ghata chhaayi
Ab diye ka bhi dil laga kaanpne
Bade zor se toofaan, aaya bharata udaan
Us chhote se diye ka bal maapne
Tab diya dukhiyaara, wah bichaara besahaara
Chala daau pe lagaane, (baazi praan ki) – 4
Chala daau pe lagaane, baazi praan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Ladte-ladte woh thaka, phir bhi bujh na saka -2
Uski jyot mein tha bal re sachchaai ka
Chaahe tha woh kamzor, par tooti nahi dor
Usne bida tha uthhaaya re bhalaai ka
Huwa nahi woh niraash, chali jab tak saans
Usse aas thi prabhu ke wardaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki

Sar patak-patak, pag jhatak-jhatak
Na hata paaya diye ko apni aan se
Baar-baar waar kar, ant mein haar kar
Toofaan bhaaga re maidaan se
Atyaachaar se ubhar, jali jyot amar
Rahi amar nishaani balidaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Nirbal se ladaai balwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki


Hindi Song Title: Apni Aankhon Mein Basakar
Hindi Movie/Album Name: THOKAR
Singer(s): MOHD RAFI

Hindi Lyrics:
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon (2)
jee mein aata hai ke jee bhar ke tujhe pyaar karoon
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon

maine kab tujhse zamaane ki khushi maangi hai
ek halki si mere lab ne hansi maangi hai (2)
saamne tujhko bitha kar tera deedaar karoon
jee mein aata hai ke jee bhar ke tujhe pyaar karoon
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon

saath chhute na kabhi tera yeh kasam le loon
har khushi de ke tujhe tere sanam gham le loon (2)
haaye main kiss tarah se pyaar ka izhaar karoon
jee mein aata hai ke jee bhar ke tujhe pyaar karoon
apni aankhon mein basaa kar koyi iqraar karoon


Hindi Song Title: Aankhon Mein Hamne Aap Ke
Hindi Movie/Album Name: THODI SI BEWAFAI
Singer(s): KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR

Hindi Lyrics:
K: Aankhon Mein Hamne Aap Ke Sapne Sajaaye Hain
Palkein Uthaa Ke Aap Ne Jaadu Jagaaye Hain
L: Sapna Bhi Aap Hi Hain Haqeeqat Bhi Aap Hain
Bas Aap Aap Aap Hi Mujhmein Samaaye Hain
K: Aankhon Mein Hamne Aap Ke Sapne Sajaaye Hain

K: Aankhon Ka Rang Dhundha Hai Heere Talaash Kar
Dil Men Sajayenge Ye Rang Yun Hi Umra bhar
Mushkil Se Zindagi Ke
Mushkil Se Zindagi Ke, Rang Haath Aaye Hain
Aankhon Mein Hamne Aap Ke Sapne Sajaaye Hain

L: Dohraaye Jaayenge Na Ye Lamhaat Ab Kabhi
Sapnon Mein Bhi Na Chhootega Ye Saath Ab Kabhi
Milti Hai Zindagi Jab Aap Muskuraaye Hain

L: Ye Dil Kuchh Aise Aap Ke Sajde Mein Jhuk Gayaa
K: Nazare Uthaayi Aap Ne To Waqt Ruk Gayaa
L: Thehare Hue Palon Mein
Thehare Hue Palon Mein, Zamaane Bitaaye Hain
K: Aankhon Mein Hamne Aap Ke Sapne Sajaaye Hain
L: Bas Aap Aap Aap Hi Mujh Mein Samaaye Hain
K, L: Aankhon Mein Hamne Aap Ke Sapne Sajaaye Hain


Hindi Song Title: Kis liye maine pyar kiya
Hindi Movie/Album Name: THE TRAIN
Singer(s): LATA MANGESHKAR

Hindi Lyrics:
Kis liye maine pyar kiya
Dil ko yoon hi beqarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intezaar kiya

Aankhon mein maine kajal daala Maathe pe bindiya lagayi
Aise mein tu aa jaaye to kya ho raam duhai
Chupke mann mein armaanon ne li aisi angdai
Koi dekhe to kya samjhe ho jaaye rusvaai
Maine kyun singaar kiya

Aaj woh din hai jiske liye main tadapi banke radha
Aaj mere mann ki bechaini badh gayi aur zyaada
Pyar mein dhoka na kha jaaye yeh mann seedha saada
Aisa na ho jhootha nikle aaj milan ka vaada
Maine kyun aeitbaar kiya
Dil ko yoon hi beqarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intezaar kiya
Kis liye main pyar kiya