Hindi Song Title: Ankhiyaan Milaaoon
Hindi Movie/Album Name: RAJA
Singer(s): ALKA YAGNIK AND UDIT NARAYAN

Hindi Lyrics:
–FEMALE–
Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon
Kya tune kiya jaadu
Haan, ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon
Kya tune kiya jaadu
Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon
Kya tune kiya jaadu
Kabhi ghabraaoon kabhi gale lag jaaoon
Mera khud pe nahin qaabu
Bina paayal ke hi baje ghunghroo – 2

–MALE–
(Ankhiyaan milaaye kabhi ankhiyaan churaaye
Kya maine kiya jaadu) – 2
Kabhi ghabraaye kabhi gale lag jaaye
Tera khud pe nahin qaabu
Bina paayal ke hi baje ghunghroo – 2

–FEMALE–
Aise to deewaane mujhe pyaar na kar
Aati hai sharam deedaar na kar

–MALE–
Chain churaake takraar na kar
Tujhko kasam inkaar na kar

–FEMALE–
Tere armaanon mein sanwar gayi main
Tune mujhe dekha to nikhar gayi main

–MALE–
Dekha jab tujhko thaher gaya main
Aise hi adaaon pe to mar gaya main

–FEMALE–
Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon
Kya tune kiya jaadu
Ae, ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon
Kya tune kiya jaadu
Kabhi ghabraaoon kabhi gale lag jaaoon
Mera khud pe nahin qaabu
Bina paayal ke hi baje ghunghroo – 2

–MALE–
Meri jaane jaana kya cheez hai tu
Mujhko to jaan se aziz hai tu

–FEMALE–
Itni na kar taareef meri
Jaanoon main to jaanoon chaahat kya teri

–MALE–
Teri ulfat ka nasha chhaa gaya
Kuch bhi ho jaane jaan maza aa gaya

–FEMALE–
Dheere dheere duniya se door hui
Ishq mein tere main to choor hui

–MALE–
Ankhiyaan milaaye kabhi ankhiyaan churaaye
Kya maine kiya jaadu
Hey, ankhiyaan milaaye kabhi ankhiyaan churaaye
Kya maine kiya jaadu
Kabhi ghabraaye kabhi gale lag jaaye
Tera khud pe nahin qaabu
Bina paayal ke hi baje ghunghroo – 2

–FEMALE–
(Ankhiyaan milaaoon kabhi ankhiyaan churaaoon
Kya tune kiya jaadu) – 2
Kabhi ghabraaoon kabhi gale lag jaaoon
Mera khud pe nahin qaabu
Bina paayal ke hi baje ghunghroo – 2

–MALE–
Bina paayal ke hi baje ghunghroo

–FEMALE–
Bina paayal ke hi baje ghunghroo

Related posts:

  1. Ankhiyaan ankhiyaan Lyrics
  2. Ankhiyaan Nu Chain Na Aave Lyrics
  3. Pyaar Tune Kya Kiya Lyrics
  4. Tune O Rangeele Lyrics
  5. Mere Bina Tum Lyrics
  6. Nazrein Mili Dil Dhadka Lyrics
  7. Aiya Aiya Lyrics
  8. Pyaar Kiya Nahin Jaata Lyrics
  9. Qayamat, qayamat Lyrics
  10. Dil Hai Deewana Lyrics
  11. Humne Ghar Chhoda Hai Lyrics
  12. Neend Churaayi Meri Lyrics
  13. Haiyya Hu Kya Masti Lyrics
  14. Saamne Baith Kar Lyrics
  15. Sar Se Sarak Gayi Lyrics